Avsnitt

  • “With age comes wisdom, but sometimes age comes alone.” - Oscar Wilde

    Aisi hi ek challenging age hai mid-life, jisme kaafi log identity crisis, uncertainty aur self-doubt se guzarte hain. Late 30s se shuru hokar 60s tak mein kabhi bhi hone wala mid-life crisis, physical, mental aur spiritual changes lekar aata hai jiski wajah se life ek naya mod bhi le sakti hai. Lekin kya sirf negatively affect karta hai ye phase? Ya ye ek soul-searching journey bhi ban sakti hai?

    Suniye Vishal Anand Sharma ki aap-beeti, jisme unhone apne mid-life experience ke heartfelt reflections share kiye hain. Jaaniye kaise ye unke liye transformation ka zariya bana jisse woh ek satisfied aur connected life jeene lage. Discover keejiye kaise aap bhi ‘struggle se strength’ tak pohonchne ka raasta apne ya doosron ke liye bana sakte hain.

    Vishal Anand Sharma ek seasoned procurement professional reh chuke hain jinhone mid-life mein aakar apni deeper calling ko pursue kiya. Psychology mein passion develop hone par unhone Jonhs’ Hopkins Unversity se psychological first-aid mein training lee aur apne expertise se doosre individuals ko mentor karte hain. Unhe AnaPana meditation ki practice se personal benefit hua aur woh mental well-being & mindfulness development ko advocate karte hain.

    From soul-searching to self-discovery, iss episode se aap ko inspiration aur guidance milegi jinse healing, growth aur renewal ki taraf badh sakein.

    Agar aap Mr. Vishal Anand Sharma se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    Instagram : @present.pause.thrive
    YouTube : @Present.Pause.Thrive

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #PodcastGuest #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother

    #FindYourPurpose #InspirationForLife #HeartfeltWisdom #MidlifeCrisis #SelfDiscovery #LifeTransitions #InnerStrength #SoulSearching #Mindfulness, #EmotionalWellbeing #LifeTransformation

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Miracle ko hum ek paranormal phenomenon maante hain. Something strange, something impossible, something unexpected. Lekin kya life kisi bhi roop mein karishma dikha sakti hai? Maybe yes. However, ye iss baat par zyada depend karta hai ki hum life ke miracle ko dekh paate hain ya nahi. Iss episode mein mere saath iss life lesson ko seekhiye ki kaise ordinary moments mein life ka sab se deep magic exist karta hai aur jaaniye ki kaise uss par humari nazar padte hi woh humari awareness se manifest ho jata hai.

    “Nobody sees the obvious, nobody observes the ordinary. There are more miracles in a square yard of earth than in all the fables of the Church.” - Robert Anton Wilson

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #PodcastGuest #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother

    #FindYourPurpose #InspirationForLife #HeartfeltWisdom #ManifestingMiracles #EverydayMagic #SpiritualGrowth #PositiveMindset #Surrender #Gratitude #PersonalTransformatio #MagicInTheOrdinary #MiracleMindset #EmbraceTheMagic #LifeLessons

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Saknas det avsnitt?

    Klicka här för att uppdatera flödet manuellt.

  • "Faith is taking the first step even when you don't see the whole staircase." — Martin Luther King, Jr.

    Faith..belief..shraddha..vishwaas..maanavta ko ye sadiyon se ye raasta dikhata aa raha hai. Duniya-bhar mein har culture ne apne se badhkar koi astitva ko mehsoos kiya hai aur uss par bharosa kiya hai. Ye vishwaas hi mushkilon ke samay mein asha ki kiran bankar, ek anjaane bhavishya ki taraf badhne ki prerna deta hai.

    Iss episode mein hum iss timeless theme ko samjhenge. Jaanenge kya hai faith ka importance aur kaise ye humari life ko transform karne ki shakti rakhta hai. Ye bhi dekhenge ki kaise har prakaar ki religious practice se bhi zyada gehrai tak jaakar ye humare core being ka hissa hai. Faith ke nature aur usey nurture karne ke baare mein iss episode mein ek thought-provoking discussion hua hai Shree Upaasna Devi ke saath.

    Upaasna ji ek jaani-maani spiritual guide aur energy healer hain. Ve doosre souls ko apni true path se align hone mein guide karti hain aur life ka delicate balance maintain karne mein madad karti hain. Multiple healing modalities ki mastery, intuitive channelling work aur apne faith ke transformative power se unhone kai saalon se iss field mein seva ki hai. Unka maanna hai ki divine mein faith rakhne se jo inner growth hoti hai woh apne aap mein har outer result se bada reward hai.

    Agar aap Shree Upaasna Devi se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    YouTube : @upaasnasuhailkapadia3306
    Instagram : @swelloupsa
    LinkTree : https://linktr.ee/upaasna9devi

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #PodcastGuest #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #FaithJourney #BelieveInHope #SpiritualAwakening #FindYourPurpose #InspirationForLife #TransformWithFaith #HealingPower #TrustTheJourney #InnerStrength #ResilienceStories #HeartfeltWisdom #EmbraceUncertainty #DiscoverYourPath #SoulfulLiving #FaithfulHeart

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Iss duniya mein kadam rakhte hi hum life ki school mein admission le lete hain. Har moment humara teacher ban jaata hai aur har experience ek naya lesson. Isliye education ek life-long process hai jo learning, unlearning aur relearning ki neev par bana hua hai. Iss episode mein hum dekhenge ki kaise life lessons sab se unexpected jagahon mein ek khazaane ki tarah chhupe hote hain. Life ke chhote-bade, khatte-meethe anubhavon se bani hai humare jeevan ki notebook. Toh chaliye, iss notebook ke panno mein jhaank kar dekhein, kya sikha rahi hai humein zindagi aur apne poore potential ke saath life ki exam dene ke liye taiyaar ho jaayein.

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #PodcastGuest #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #LifeLessons #Wisdom #LifelongLearning #Experience #Growth #Reflection #PersonalDevelopment #SelfImprovement #Mindfulness #EmbraceLife #DiscoverWisdom #JourneyOfLearning #TransformativeExperiences #LifeSkills #WisdomFromExperience

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Kya aapne kabhi socha hai ki kyon vibhinn dharmon mein, bhojan ko lekar itne saare rules aur taboos hain? Food ka kya role hai bhakti ki abhivyakti mein? Humare religious teachings kaise humare khaane-peene ko regulate karte hain?

    Inn puzzling questions ko solve karne ke liye suniye ye episode. Samajhiye humare aahaar ka cultural aur spiritual significance aur isey aaj ke modern context mein apply keejiye. Iss episode mein humare expert, Dr. Kurush Dalal, ne baat ki hai fasting aur feasting, dietary customs aur ancient rationality ki jis ne ‘faith aur food’ ki journey ko ek saath mein baandh diya.

    Dr. Kurush Dalal ek jaane-maane archaeologist, historian aur culinary anthropologist hain jinki iss subject par expertise hai. Unki prolific work profile kaafi rich aur diverse hai. Archaeology ke saath, Dr. Dalal food aur humans ke rishte ko samajhne ke liye kaafi passionate hain. Unhone ek catering business inherit kiya aur pichhle ek dashak se food, culture, philosophy, religion aur history ke sangam par research kar rahe hain.

    The ‘Studying Food Workshop’ ke founder, Dr. Dalal ka uddeshya hai ki recipes aur ingredients ke beyond, thoda gehrai tak jaakar, human life par food ke impact ko samjha jaye. Isse cultural harmony aur diversity bhi promote hoti hai jo ek modern, glocal culture establish karne ke liye zaroori hai.

    Iss conversation mein Dr. Dalal common, religious food practices par ek academic perspective lekar aaye hain.

    Agar aap Dr. Kurush Dalal se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    E-mail : [email protected]
    Instagram : @kurushdalal
    X : @karboholic

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #PodcastGuest #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #CulinaryAnthropology #FoodResearch #ReligiousDiet #FaithAndFood #FoodTaboos #SpiritualEating #FoodTraditions #FastingAndFeasting #ReligionAndNutrition #EthnicCuisine #DietaryRestrictions #SacredCuisine

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Kya aap chinta se ghire rehte hain? Tension mat leejiye. Aap ke liye iss aam condition ke liye kuchh khaas upaay layi hoon iss baar.

    Ye ek informative episode hai jisme compulsive worrying ke peechhe ka science bhi samjhaya hai aur stress management techniques bhi share kee hain. Kuchh actionable strategies jaaniye jisse aap iss chronic habit se apne aap ko baahar nikaal sakte hain. Experts dwara bataai gayi mindfulness practices, calming techniques aur positive thinking ke through dekhiye apni lifestyle aur mindset ko kaise better kar sakte hain.

    Mann ki bechaini aur sleepless nights ko bye-bye kehne ka time aa gaya hai. Aaj hi suniye aur ek calm, peaceful life ki taraf pehla kadam uthaiye.

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #PodcastGuest #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #WorryManagement #PeaceOfMind #AnxietyRelief #MentalWellness #Mindfulness #StressFreeLiving #PositiveThinking #WellnessJourney #EmotionalWellbeing #AnxietyAwareness #MentalHealthTips

    Pic Courtesy : wayhomestudio on Freepik

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Stories bachpan se humari life ka atoot hissa rahi hain. Kabhi hansaati..kabhi rulaati..kabhi daraati..toh kabhi inspire karti..Ye undoubtedly hum par gehri chhaap chhod jaati hain.

    Lekin kya aapko pata hai ki isey ek powerful tool ki tarah use kar sakte hain apne aap ko behtar samajhne ke liye? Stories humare mental aur emotional state ko explore karne mein helpful ho sakti hain. Humari inner stories ka humare outer life story ko banana mein bohot badaa haath hota hai. Aur iss baat ko ek storyteller se behtar koi nahi jaan sakta.

    Sherin Matthews ek international storyteller hain jinhone apne magical narratives aur unique style se, bachche aur bade, sab ko equally entertain kiya hai. Unka expertise hai schools aur teachers ko train karne mein jisse ve Math aur Science bhi storytelling format mein sikha sakein. Corporate world mein bhi ve apne iss magic ko spread karti hain corporate storytelling ke through. Story Nest Mumbai se woh bachchon ko iss art mein educate karti hain.

    Toh suniye humari guest Sherin Matthews ki kahaani unki hi zubaani. Chaliye unke saath kahaaniyon ke fantasy land mein, jahaan creativity se koi bhi naya afsaana banaya jaa sakta hai. Inke storytelling experience se kuchh tips lete hain apni life ko samajhne ke liye.

    Agar aap Sherin Matthews se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    E-mail : [email protected]
    Instagram : https://www.instagram.com/sherinstorynest2/
    Youtube : https://www.youtube.com/@sherinstorynest812
    Facebook : https://www.facebook.com/StorynestOfficialPage/
    LinkedIn : https://www.linkedin.com/in/sherin-mathews-storynest/

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #PodcastGuest #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #PowerOfThought #ConsciousAwareness #SpiritualGrowth

    #StorytellingMagic #InnerTransformation #SoulStirringStories #MagicalJourney #TuneInNow #PsychologicalTool #MentalHealth #StorytellingForChange #PsychologyOfNarratives #EducationThroughStories #GlobalStorytelling #CorporateStorytelling #LifeImprovement #CreativeExpression

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Mann ki duniya mein ek shaktishaali taakat hai - humaare vichaar. Ve humare anubhavon aur sapnon ko aakar dete hain. Ve humein aasman chhoone ke kaabil banaa sakte hain ya darr aur sandeh ki gehraiyon mein gira sakte hain. Itihaas gawah hai, great thinkers ne iss power ke sahi use se bade-bade kaarnaame kar dikhaye.

    Isliye chaliye, hum bhi iss power ko pehchaanne-samajhne ka ek chhota sa prayaas karein. Iss episode mein Dr. Gulrukh Kapadia Bala ke saath ‘power of thought’ ko dekhenge aur jaanenge ki kaise har-ek thought jo hum aaj bana rahe hain woh humare future life ke liye zimmedaar hai.

    Dr. Gulrukh Kapadia Bala, ek spiritual teacher aur Ascended Master hain jo 2 decades se holistic healing aur supramental yoga sikha rahi hain. Apni practice ke through ve logon ko guide karti hain apne thoughts aur consciousness ke power se life transform karne mein. Founder of Heartlight Ascension, Ms. Gulrukh pracheen gyaan aur modern teachings ke combination se spiritual growth facilitate karti hain. Inka English Literature aur Psychology mein raha background bhi unke spiritual work mein ek additional element add karne mein helpful raha hai. Life, thoughts aur reality ke interplay ko bohot expertly unravel kiya hai unhone. Iss episode mein, aap ko kai life-enhancing practical advice jaane ke liye milengi.

    Agar aap Dr. Gulrukh Bala se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    E-mail : [email protected]
    Instagram : @dr.gulrukh
    LinkedIn/Twitter : Dr Gulrukh
    Website : www.gulrukhbala.com

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #PodcastGuest #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #PowerOfThought #ConsciousAwareness #SpiritualGrowth

    #ThoughtMastery #HolisticHealing #SupramentalYoga #SelfRealization
    #InnerTransformation #ManifestingChange #MindBodySpirit #PositiveVibesOnly #DivineWisdom

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Life agar ek gift hai toh death uss gift ko appreciate karne ka zariya. Life aur death ek hi coin ke 2 sides hain. Ye ultimate paradox hai, jisme beginning aur ending ka sangam hai, ek state se doosre mein transition ka rasta. Har moment jab marta hai tab hi naye moment ka janm hota hai. Phir bhi jab ek zindagi ke end ki baat aati hai toh ‘mrityu’ ke naam se bhi dhadkanein tez ho jaati hain. Kya marne par sab khatm ho jata hai? Ya phir woh ek pause hai? Aur kyon itna darte hain hum iss eventuality se?

    Main aapko invite karti hoon, mere saath ‘dying aur death’ se judey apne fears ko explore karne ke liye. Loss aur pain se lekar non-existence ki anxiety par ye ek introspection hai. Aur apne mann ki gehraiyon mein jaakar, aap aur main, acceptance ke moti dhoondh layenge. Ye mujhe yakeen hai.The fear of death follows from the fear of life. A man who lives fully is prepared to die at any time. - Mark Twain

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #LifeAndDeath

    #EndingsAndBeginnings #DeathReflections #AcceptanceJourney #EmbracingImpermanence #FearOfDeath #InnerReflection #MortalityMatters

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Hum jab iss tezi se bhaagti duniya mein apna raasta banaate hain, toh zyadatar productivity aur output ko pradhaanta dete hain. Hum koshish karne mein lage rehte hain ki kaise zyada se zyada action humaare din mein aur lifestyle mein fit kar lein. Aur iss hi ke wajah se hum physical aur mental exhaustion ki taraf badh rahe hain.

    Ye ab spasht ho gaya hai ki ek balanced lifestyle jisme ‘doing’ ke saath ‘being’ bhi included ho wahi humein lambi race ka ghoda banaa sakti hai.

    Jaaniye kaise chhoti-chhoti needs ko neglect karne se kaise life mein complexities badh sakti hain. Aur saath mein discover keejiye kuchh practical tips aur solutions jisse humare daily living ko ek beautiful, harmonious experience bana sakein. Iss episode ko suniye aur apne aap ko empower keejiye, external success ke saath internal satisfaction paane ke liye.

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #WorkLifeBalance #BeatBurnout #SelfCareSunday #RestAndRestore #HarmonyInLife #TimeForReflection #SabbathPractice #WellnessJourney

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Parenting ek mauka hai jo humen life se milta hai. Kis cheez ka mauka? Apna jeevan ek naye sirey se create karne ka. Jitni bhi mental conditioning banaa rakhi hain usse baahar nikalkar jaankne ka. Life ko ek bachche ke nazariye se dekhne ka taaki ek fresh perspective baney. Lekin hum uljhanon mein fans jaate hain ye samajhne ki taak mein ki humare parenting style mein kya sahi aur kya galat hai. Isliye iss role mein humne expert advice lee hai ek well-qualified life-coach aur art therapist ki, jo ek experiencd mom bhi hain.

    Kavita Saraf ne Applied Arts aur Multimedia Design mein graduation kiya hai aur Psychotherapy & Counseling mein post-graduation. Multiple trainings aur certifications ke saath-saath unhone art therapy aur psychology mein research work bhi kiya hai. Institutions aur individuals ke saath extensive work experience aur khud ki experiential learning ne unke approach ko shape kiya hai. Woh creative, artistic, play-way method aur alag-alag therapies ka combination use karti hain, practical aur application-based solutions dene ke liye. Woh believe karti hain ‘Prevention is better than cure.’ aur iss thought ko hi follow bhi karti hain.

    Agar aap Kavita Saraf se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    E-mail : [email protected]
    Instagram : @kavitasaraf29
    Phone No. : +919766338986

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #ParentingJourney #ConnectedParents #ParentingTips #ChildhoodDevelopment #NurturingMinds #BondingWithKids #ParentingGoals #ThoughtfulParenting

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Kya insaan apna sansaar banaata hai ya yeh sansaar insaan ko? Kya hai humare isme hone ki wajah? Aur kya hai humara wajood?

    Chalte hain hum ek soul searching adventure par, jisme philosophy aur spirituality ke sangam se apne aap tak pohonchne ka raasta tai karenge. Iss episode mein, mere personal thoughts, metaphors aur experts ke views, sab milkar aapko ek thoughtful analysis karne ke liye inspire karenge, apni personal identity aur collective responsibility ka aabhaas dilayenge. Asha rakhti hoon ki inn shabdon se aap self-awareness se lekar self-discovery tak ka bridge aasani se paar kar sakein. Khud ki khoj mein hi humare jeevan ka sab se bada sach hai. Iss sach ko dhoondhne ke liye apne jeevan ka maqsad aur matlab jaanna zaroori hai. Toh taiyaar ho jaiye, apne aap ke aur kareeb pohonchne ke liye!

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #PurposeOfLife #LifeReflections #PhilosophicalThoughts #MeaningOfLife #ExistentialExploration #DeepContemplation #InnerJourney #SelfDiscovery #SoulfulReflection #MindfulPodcast #SpiritualInsights #ThoughtfulTalk

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Apne andar SIP yani Supreme Immortal Power ko kaise dekh sakte hain? Spiritual awakening kab aur kaise shuru hoti hai? Enlighten hona kise kehte hain? Aur moksh ke raaste par, ek awakened insaan kin challenges ko experience kar sakta hai? Agar spirituality ko lekar aapke mann mein kai puzzling questions hain toh iss episode mein aap ko guidance milegi ek renowned, realised spiritual master AiR (Atman in Ravi) se. Iss captivating conversation mein unhone religion se spirituality tak badhne ka marg dikhaya hai. Aur bataya hai spiritual path ka 8-step process moksh tak pohonchne ke liye. Throughout the discussion, unhone apni melodiously divine singing aur in-depth knowledge se bohot aasanai aur clarity se is beautiful journey par chalne ke liye inspire kiya hai.

    AiR (Atman in Ravi) ek transformational speaker, author, philanthropist aur mentor hain. Unka mission hai zyada se zyada logon ko unki spiritual progress mein help karke, self discovery aur eternal bliss ki taraf le jaana. Ye ‘Happiness Ambassador’ ki tarah bhi jaane jate hain.

    Ek highly successful businessman, AiR ne 40 saal ki umr mein apna naam aur kaam, sab peeche chhodkar maanav-seva aur adhyaatm ka jeevan apnaaya. Inhone AiR Humanitarian Homes banaaye jin me 800 se bhi zyada beyghar aur zarooratmand logon ki dekhbhaal ki jaati hai. Apne guru, Dada J P Vaswani ki prerna se, unhone jeevan ki sachchai ki gehri talaash ki aur khud ke andar sthit divyataa ko SIP (Supreme Immortal Power) ke roop mein pehchaana. Ab woh Ishwar ka maadhyam bankar har din ‘Satyam Shivam Sundaram’ ke shabdon mein chhupe arth ko ujaagar karte hain.

    Unhone spirituality par 70 se bhi zyada books likhi hain aur 1500 se upar devotional songs compose kiye aur gaye hain. Ye kai prominent celebrities ke talk shows amein feature hue hain aur organisations, corporates aur universities mein, as a speaker invite hue hain. Apni tatpar koshish se unhone sab tarah ke logon ko jeevan mein upar uthaane ki koshish ki hai aur aage bhi karte rahenge.

    Agar aap AiR se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    E-mail : [email protected]
    SM handles : @airatmaninravi
    Website : www.air.ind.in

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #SpiritualAwakening #SupremeImmortalPower #EnlightenmentJourney

    #MokshaQuest #EternalHappiness #DivineTransformation #AtmanInRavi #InnerPeace #SoulDiscovery #SpiritualGuidance #InnerJourney #LifePurpose #SelfRealization #DivineWisdom #TransformativeTalks #VedantaPhilosophy #SanaatanDharma #HigherConsciousness #SoulfulInsights #PodcastSpirituality

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Iss baar aap ko main bataa rahi hoon kuchh fundamental universal principles ke bbare mein jin se humari reality ka fabric buna gaya hai. Law of Attraction ho ya Law of Cause & Effect, har ek cosmic law Universe ke functioning par aapko ek unique perspective dega. Manifestation ke secrets apnaiye, positive energy ka power pehchaaniye aur humari interconnectedness ko jaaniye, jo spiritual gurus aur philosophers ko ancient times se guide kar rahe hain. Chahe aap spiritual subjects mein interest rakhte hain ya ek curious explorer hain, aapko iss episode mein apni life ko peaceful, empowered aur fulfilling banane ki knowledge milegi. Toh tune in keejiye aur iss powerful wisdom se apne aap ko elevate keejiye.

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #UniversalLaws #SpiritualWisdom #LawOfAttraction #CosmicPrinciples

    #SelfDiscovery #PositiveEnergy #MindfulnessJourney #ManifestationMagic #BalanceAndHarmony #PersonalGrowth

    #AncientWisdom #RealityShift #IntentionalLiving #PhilosophyPodcast

    #SpiritualExploration

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Iss naye saal ko ek transformative year banaiye. 2024 mein aise resolutions banana seekhiye jo aap ke jeevan ki raah ko ek nayi disha de sakein. Samajhiye resolutions ke peeche ki psychology aur kyon hum unhe nibha nahi paate. Jaaniye kaise aap realistic aur meaningful goals banaa sakte hain jo aapki values aur dreams se mel khaate hon. Also, apne resolutions ke liye ek practical roadmap banana seekhiye. Iss episode mein bataaye gaye 3-factor formula ko aap easily aur effectively apply kar sakte hain har tarah ke resolutions ko successful banaane mein.

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #ResoluteBeginnings #NewYearGoals #ResolutionSuccess #GoalSettingTips #AchieveYourDreams #GoalGetters #ResolutionMindset #2024Transformations

    #PodcastInspiration #NewYearNewYou #GoalCrushers #PodcastMotivation

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Fulfillment kya hai? Aur kaise life ke challenges aur painful situations mein bhi hum fulfilled, satisfied aur content mehsoos kar sakte hain? Aise kuchh sawaalon ke jawaab aapko milenge iss episode mein.

    Miliye Nidhi se, jo ek Life Fulfillment Coach hain. Woh special-needs parents aur women ke empowerment ke liye kaam karti hain. Being a special-needs parent herself, life ke challenges hi unke liye aage badhne ka inspiration hai. Iss episode mein unki life journey ke through aapko milenge key insights aur practical tips, apni zindagi mein apply karne ke liye taaki aap apni life problems koek naye nazariye se dekh sakein.

    Discover keejiye life coaching ka transformative power aur ek bharpoor jeevan jeene ke liye taiyaar ho jaiye.

    Agar aap Ms. Nidhi Arora se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    E-mail : [email protected]

    Insta : @lifecoach_nidhi, @nidhii6.11

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #Inspiration #TransformativeJourney #StrengthInStruggle #ParentingWithPurpose #EmpowerSpecialFamilies #LifeChallenges #PositiveVibes #MindsetShift #Resilience #LifeCoaching #PersonalGrowth #SpecialNeedsParent #SpecialNeeds #MotivationalCoach

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Socialising ek enjoyable act ke bajaay, ek unwanted responsibility ban jaaye toh kya hota hai?
    Iss episode mein maine social events ki duniya ko explore kiya hai, jisey invitee aur inviter, dono ke viewpoints se samjhaya hai. Isme suniye ki kaise society ke rules aur pressures iss maamle mein humein affect karte hain. Aur kaise humara personal outlook bhi ek nakli mukhauta pehenne par humein majboor kar deta hai. Social media ke naye arena mein bhi ‘keeping up appearances’ syndrome kaise humein adversely affect karta hai. Mere personal experiences bhi share kiye hain maine aur kai aspects mein better tareeke se deal karne ke ideas aapko milenge. I’m sure aapko bhi apni social life mein personal choice par sochne ki ek window dikhegi.

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #AuthenticLiving #UnmaskingSocialPressure #RealTalkPodcast #BehindTheFacade #GenuineConnections #MentalHealthMatters #TrueToYou #MindfulSocializing #NoMorePretending #SocialStrain

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Mindfulness kya hota hai? Ye mere liye hai ya nahi? Aur iske kya faayde hain? Agar aise sawaal aapke mann mein uthte hain aur aapko samajh nahi aaya ho ki kaise iss concept ko kaise samjhein toh ye duvidha ka solution lekar aayi hain humari iss baar ki guest, Geetika Arora Bhojak, jo University of Oxford se trained ek Mindfulness Based Cognitive Therapy coach hain.

    Geetika ne humein minfulness ke fundamentals aur history ko samjhaya hai. Jaaniye ki humari life mein iska kya positive impact ho sakta hai jisse apne aap se aur apne aas-paas ki duniya se ek behtar rishta bana sakein. Discover keejiye practical tips aur techniques jisey aap apne daily routine mein integrate kar sakte hain taaki stress, anxiety aur worries ko araam se manage kar sakein.

    Agar aap Ms. Geetika Arora Bhojak se connect hona chahein toh neeche diye gaye links par se kar sakte hain.

    Website : www.themindfulfoundation.com

    E-mail : [email protected]

    Insta : @mindful.foundation

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #MindfulnessJourney #PresentMomentAwareness #MindfulLiving

    #CultivateCalm #MindfulWisdom #MindfulnessPodcast #StressRelief #InnerPeace #EmbraceTheNow #ResilienceInChaos

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • ‘The Four Agreements’ book jiske writer hain don Miguel Ruiz, huemin life mein banaye gaye unconscious, mental agreements se aware karaati hai jo humaari life ke sab areas ko affect karte hain. Apni Toltec legacy se inspire hokar unhone huemein 4 naye agreements diye hain, jin se hum puraane, limiting agreements ko overcome kar sakte hain. Iss episode mein aap inke baare mein briefly samajh sakte hain.

    Agar aap iss book ko purchase karna chahein toh neeche diye hue link par kar sakte hain:
    The Four Agreements: A Practical Guide to Personal Freedom (A Toltec Wisdom Book) by Don Miguel Ruiz
    https://amzn.to/3GnhIrT

    #MonalWhispers #WhisperingWisdom #SpiritualCoach #Podcaster #Mindfulness #HindiBytes #HindiPodcast #LifeLessons #SelfGrowth #InspiredToImpact #WordsOfWisdom #EmpowerAnother #FourAgreementsInsights #ToltecWisdom #SelfDiscoveryJourney #PersonalGrowthTalks #RuizWisdom #BookClubDiscussion #PodcastReflections #AgreementsForLife #WisdomWednesday #TransformationalReads #SpiritualPodcast #AuthenticLivingNow #MindfulAgreements #EmpowerYourself

    If you like the show please subscribe & do not forget to press the 'bell' icon.

    Connect with me across Social Media platforms ; @MonalWhispers :
    · Website : http://monalwhispers.com/

    · Instagram : https://www.instagram.com/monalwhispers/

    · Youtube : https://www.youtube.com/channel/UCX-6FlXJM82GnDIpAkluvkg

    · Facebook : https://www.facebook.com/MonalJ.ww

    Thank you,
    MonalJ
    www.monalwhispers.com

  • Don Miguel Ruiz ki transformative book ‘The Four Agreements’ ka gist hai ye episode jise maine 2 parts mein split kiya hai. Ancient Toltec teachings ki deep wisdom par based hai ye book jo human psychology ko achhe se samjhaati ha. Iss timeless guidance mein se distill karke 4 powerful Agreements humein author ne diye hain. Inhe adopt karne par life mein authenticity aur self-dicovery ka raasta milta hai. Apne mindset mein ek drastic change ke liye taiyaar ho jaiye.