Avsnitt
-
Indore mein rehne wale Guddu Indori yun toh nikle the jeetne ko duniya saari. Magar kaam ka bahot jyada stress lene ke karan ho gayi hai ko unko dil ki bimari.
Ab kaise niptega Guddu Indori apni bimari se, janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki ye World Heart Day special kahani – Dil ki baat hai
-
Kuch na kuch bhulne ki aadat toh har kisi ki hoti hai!
Koi exams mein answers likhna bhul jaata hai, toh koi kuch kahin rakh kar bhul jata hai.
Usi tarah Hyderabad ke Chappan bhai bhi uska address rakhkar bhul gaye hain, jiski unhone supari li thi.
Toh ab kya karenge Chappan Bhai?
Janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ki ye World Alzheimer's Day special kahani – Akkad Bakkad, Bhaijaan Bhullakkad!!
-
Saknas det avsnitt?
-
100 se bhi jyada companies mein interview diya Bholu Engineer ne, magar kahin nahi lagi naukri. Ab kya karega Bholu? Kya kar payega koi jugaad, aur chuda payega Lala ke paas se apne Maa ke kangan. Janne ke liye suniye Kahaniyon ka Mantra ki ye Engineer’s Day special kahani – Berozgaar Engineer!
-
Nagpur ke Ganesh pandal mein jaa pahucha ek aisa shararti bachcha, jo puchne laga pandit ji se anokhe sawal..
Ab kaise niptenge uss bachche se pandit ji, jaane ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki ye Ganesh Chaturthi special kahani – Vighnaharta Ganesha
-
Ek bahot hi bade school ka inauguration karne aane wale hain OPS. Magar kaun hain ye OPS, jo Chief Minister aur Education Minister se bhi jyada powerful hain? Janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ki ye kahani – Mission OPS
-
Satara se Nagpur aa rahe hain Abhimanyu apni team ke sath dahi handi fodne ke liye. Magar unki bus fass gayi hai bhayankar traffic jam mein. Toh ab kya karenge Satara ke Govinda. Kya pahuch payenge time pe ya karenge koi aur chamatkar. Janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ki ye Shri Krishna Janmashtami special episode – Dahi Handi Competition
-
Nitin ki hai ek chhoti si kapde ki factory. Magar uss chhoti si factory mein Nitin karta hai ek bada hi nek kaam. Usne aise logon ko rakha hai kaam par, jinhe nahi mil raha tha kahin aur kaam. Unke sath kaise Rakhi manayega Nitin, Janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ki ye Raksha Bandhan special kahani – ‘Raksha ka Bandhan’
-
Bahadur ki lagi hai nayi nayi fauj mein naukri aur pehle hi din mil gayi hai use aisi jagah posting jahan jaana hai behadd khatarnak.
Ab kaise milegi himmat Bahadur ko ladne ki?
Janne ke liye suniye Kahaniyon ka Mantra ki ye Independence Day special kahani – Wardi Ki Taaqat!
-
College ke pehle din truth and dare khelte waqt Maddy ko mila.. Dare pad gaya itna bhari, ki ho gayi sabhi ke samne uski kirkiri.
Aisa majak udaya Riti ne, ki ho gaya Maddy ka heart-break. Ab kaise lega Maddy usse badla.
Janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki self-love wali lovely kahani, ‘I Love Me’
-
Dhundne ko inner peace jaana chahta hai Vimpy solo trip pe. Par kya itni chhoti si umar mein jaane denge uske parents uske first ever solo trip pe? Ya ghar par hi mil jayega Vimpy ko uska inner peace? Jaane ke liye suniye,Kahaniyon Ka Mantra ki National Parents Day special ye kahani – My Inner Peace
-
Aayush ke school mein transfer hokar naye naye teacheraaye hain teacher Pandey sir. Sir ka alag hi hai padhane ka approach, jisse gadhe se gadha student bhi kar sakta hai exams mein top. Aisa kya jaadu karte hain Pandey sir, janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ka Guru Purnima special episode – ‘Guruji Tussi Great Ho’
-
Achanak hone wali baarish se bachne ke liye Mohit rojana apne office jata hai public transport ki bus se, aur tez baarish ke karan lag jaata hai ghanto ka traffic jam.
Magar uss safar mein Mohit ko milta hai ek aisahumsafar jisse ghanto ka traffic jam bhi Mohit ko lagne lagta hai sunana…
Toh kaun Mohit ka humsafar, janiye ke liye suniye,Kahaniyon Ka Mantra ka ye monsoon special episode – Baarish Aur Traffic Jam!
-
Lajwanti ji chahti hain lena apne ik laute pati seturrant hi divorce. Naa hi unke pati sharab pikar maarte hain, naa hi dahej keliye pareshan karte hain, aur naa hi hai unka koi chakkar kisi dusri kanya ke sath.Toh fir 2 bachche hone ek baad achanak kyu chahiye Lajwanti ji ko divorce?
Janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki yepopulation special kahani – 2 se bhale 1
-
Online app mein sabhi ladkiyo ko right swipe kar dhundraha hai Billu apne jeevan sathi ko.. Kya hogi uski ye muraad puri. Kya hoga Billu ka bhi koi match, janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki ye kahani – It’s A Match#matchday
-
Bachpan se chura chura kar jis bagiche se khaate aaye hain Changu-Mangu aam, achanak uss bagiche mein aa khadi hui hai ek samasya.
Toh kaise niptenge iss samasya se Changu-Mangu, aur kaise chukayenge apne aam ka karz, janne ke liye suniye Kahaniyon ka Mantra ki ye Mango special kahani – Aam Ka Karz
-
Judwa bhai Sonu Monu dhund rahe hain apne Pappa ke liye koi aisa unique Father’s day gift, jisse ho jhat se ho jaye unke
Pappa itne jyada impress, ki agar exam ka result thoda 19-20-21-22 bhi ho jaye, toh unhe thappad naa khane pade
Toh kya dhund payenge Sonu-Monu aisa koi gift, janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ki ye Father’s Day Special kahani – “Best Father’s Day gift”
-
Europe ke ek jaane maane, jaanche parkhe, FilmDirector-Producer aaye hain.. India ki sair par..
Aur Bharat ke upar banana chahte hain wo.. dil ko chhoo jaane wali ek Oscar winning film.. Par ho gaye hain wo confuse.. Ki aakhir kaunse Bharat par banayein film?
Bharat toh ek nahi, anant hai!
Alag alag bhasha, vesh bhoosha, sanskritiyon se bhare Bharat mein se kaunse Bharat par banyein film?
Ek videshi ki nazron se kaisi dikhti hai duniya ki sabse badi democracy, suniye Kahaniyon Ka Mantra ki ye kahani– Mera Bharat Mahaan!
-
Aap sabhi ke pyar aur apnepan ke sath, ‘Kahaniyon Ka Mantra’ ne kar liye hain pure 100 episodes. Isiliye aaj ke episode mein bhi aane wala hai 100% maza, kyuki aaj aapke liye MnM Talkies lekar aaya hai kahaniyon ka double dhamaka. Suniye Kahaniyon ka Mantra ka 100th special episode – Assi Nabbe Pure Sau
-
Bachpan se hi hai Sonu ka sapna Gold medal jeetne ka, jiske liye kar raha tha Sonu bharpur koshish. Magar fir hua ek aisa hadsa ki ho gaya Sonu ka sara sapna chaknachoor. Ab kya kaise karega Sonu come-back, janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ki ye ‘International Day of persons with disabilities’ Special episode – Gold jeetna hai
-
Police Constable Pawar sahab apni duty ke liye hamesha taiyaar rahte the. 26 Novemeber ko bhee woh apne duty pe time se pahunch gaye. Par kya woh ghar pahunch sake us roz apni duty ke baad ya phir rah gayi bass unki yaad?
Kahaniyon Ka Mantra mein suniye 26/11 ke Mumbai hamlo mein shaheed hue veeron ko shraddhanajali deti aaj ki kahani: SadRakshanay!
- Visa fler